jannaton ke dar khule kuch baashinde the chale
le aaye wo nanhi jaan us khuda ka ek payaam
tab se tu hai jahaan mein ban ke raunak yahan ki meri jaan
khwahishon se bhi aage jo khushi ka mile wo armaan…
rare rare raaa durururu ra… rattatarara… rattatatrara… rirerarara..
cham cham jani raatein ye sitaron wale hath
bheeni bheeni khushbhoo jaise teri meethi baat
ujla ujla sa ye tan
jaise mehka ho chandan
baahon mein teri guzre mera ye saara jeevan
teri ada mein masoomiyat hai phir bhi hai shokhi rangeeniyat hai
taaron se bhar doon main aanchal tera,
rab se bhi pyara hai chehra tera.. chehra tera.. chehra tera…
rare rare raaa durururu ra… rattatarara… rattatatrara… rirerarara..
phool hothon pe khile chand aankhon mein mile
phool hothon pe khile chand aankhon aankhon mein mile
bikhre moti subah ki jaise kirne teri ye muskaan
noor barse nazar se noori tujh mein basi hai meri jaan
noor barse nazar se noori tujh mein basi hai meri jaan
teri dhanak ki pyasi nazar hai
deewanagi ye tera asar hai
roohane rangon ka ye aanchal tera
sapno ki raaton ka ye baadal mera.. baadal mera.. baadal mera…
rare rare raaa durururu ra… rattatarara… rattatatrara… rirerarara..
dheere dheere sar chadha tera jaadu aage badha
dheere dheere sar chadha tera jaadu jaadu aage badha
hua khud se juda main phir bhi tujhpe fida main meri jaan
ishq le le tu le le le le, le le mera imtihaan
ishq le le tu le le le le, le le mera imtihaan
soone safar ki tu sohbat hai, bakhshi khuda ne ye milkiyat hai
aaja saja de gori aangan mera, jaise sajaya tune lamha mera.. lamha mera.. lamha mera..
0 comments:
Post a Comment